Tuesday, September 11, 2007

Bhadi Mavas

Today is the "BHADI MAVAS" or "BHADO AMAVASYA".

An egregious PUJANUTSAV is held in Jhunjhunu for which millions of followers and worshippers stand in queue from early morning to take a majestic glimpse of Shri Rani Sati Jee.

The celebration day at Shri Ranisati Ji Mandir Jhunjhunu, Rajasthan.

So all of us should pray for the welfare of human kind.

Bolo Shri Ranisati Dadi Ki Jay Ho

Sunday, September 09, 2007

Bhajan of Ranisati Dadi

"Vinati karoon hoon mai baar baar, dadiji sun lo meri pukar."

Vinati karoon hoon mai baar baar, dadiji sun lo meri pukar.
Meri naiya purani hai, ma Ranisati, Paar thane hi lagaani hai ma Ranisati,
Vinati karoon hoon mai baar baar, dadiji sun lo meri pukar.

Chhayo ghano andhero, aur soojhe nahi hai kinaro,
aakhri bharoso mhane dadiji tharo saharo.
Thare bina, kun meri, peeda ne pichhani hai,
Paar thane hi lagaani hai ma Ranisati.

Kasht me ghiroon jab, main to thaari sharan me hi aaoon,
Prem se main sumiroon, naam tharo sada hi main gaaoon,
Laaj meri aaj ei maa thane he nibhaani hai, ma Ranisati.
Paar thane hi lagaani hai ma Ranisati.

Der se main tarsoon, manne aa kar gale se lagaao,
Sinh par viraazo, dadi aao the bega sa aao,
Manadai ri batadli, thane he batani hai, ma Ranisati.
Paar thane hi lagaani hai ma Ranisati.

Shri Ranisati Dadi Ki Jay Ho !!!

Bhajan of Rani sati Dadi

Ranisati Bhajan

"Rani sati ka jis ke sir pe haath ha"

Rani sati ka jis ke sir pe haath hai,
Dhanya hua who, uskee to kya baat hai.
Kya baat hai, kya baat hai, kya baat hai dadi ki.
Rani sati ka jis ke sir pe haath hai,
Dhanya hua who, uskee to kya baat hai.

Dadi naam ki naav pe jo bhee hua sawaar hai,
Jise bharosa dadi ka, uska beda paar hai.
Use duboye kiski yeh aukaat hai,
Dhanya hua who, uskee to kya baat hai.

Rani sati ke naam ka jo deewaana ho gaya,
Saath hai uske jagdamba, sang zamana ho gaya.
Doolhe ke sang jaise chane baraat hai.
Dhanya hua who, uskee to kya baat hai.

Ma ki sharan me jo gaya, kripa maiya ki pa raha,
Tu bhi aaja dwaar pe, sewak kyon sakucha raha.
Ma ki kripa se badh kar kya saugaat hai.
Dhanya hua who, uskee to kya baat hai.

Rani sati dadi ki jay ho