Sunday, September 09, 2007

Bhajan of Rani sati Dadi

Ranisati Bhajan

"Rani sati ka jis ke sir pe haath ha"

Rani sati ka jis ke sir pe haath hai,
Dhanya hua who, uskee to kya baat hai.
Kya baat hai, kya baat hai, kya baat hai dadi ki.
Rani sati ka jis ke sir pe haath hai,
Dhanya hua who, uskee to kya baat hai.

Dadi naam ki naav pe jo bhee hua sawaar hai,
Jise bharosa dadi ka, uska beda paar hai.
Use duboye kiski yeh aukaat hai,
Dhanya hua who, uskee to kya baat hai.

Rani sati ke naam ka jo deewaana ho gaya,
Saath hai uske jagdamba, sang zamana ho gaya.
Doolhe ke sang jaise chane baraat hai.
Dhanya hua who, uskee to kya baat hai.

Ma ki sharan me jo gaya, kripa maiya ki pa raha,
Tu bhi aaja dwaar pe, sewak kyon sakucha raha.
Ma ki kripa se badh kar kya saugaat hai.
Dhanya hua who, uskee to kya baat hai.

Rani sati dadi ki jay ho

No comments: